Thursday, December 22, 2011

Arse Mein Jab Dilbar Aayaa

Arse mein jab dilbar aayaa
Mera bhi fir dil bhar aayaa

Gulshan mein to jashn hua jab
Phool gulaabi khilkar aayaa

Shayad wo iqraar hi kar de!!
Main bhi dil ko sil* kar aayaa

Log mujhe achha kehta hain
Jabse usko milkar aayaa

Hum dono ka poochhaa sab ne
Main bhi taad ko til kar aayaa

Fir mere alfaaz bhi mehke
Jab honton ko silkar aayaa

*Sil: Stone

Thursday, September 8, 2011

Rehne Do

Kuchh zamaane se nihaan* raaz mera rehne do
Kuchh mere pass meri jaan mera rehne do

Kuchh na kuchh hoga hamara bhi yahan dekho to
Ik zara der ko tum "tera" "mera" rehne do

Khuduri roshni aane se rooh kat ti hai
Ye jo makhmal sa andhera hai zara rehne do

Aman ke phool liye tum phiro basti basti
Uske haathon mein hai khanjar to dhara rehne do

Ye kisi aur ko mujh tak nahi aane dega
Uski chahat mein mila zakhm hara rehne do

Apne bachon mein milawat bhi karo duniya ki
Rehta kamzor hi sona jo khara rehne do

*Nihaan : Chhupa hua/Hidden

Wednesday, July 20, 2011

रहमत की बरसात नही है

रहमत की बरसात नही है
मां अब मेरे साथ नहीं है

तेज़ हवा की ज़द में होना
शह बेशक़ हो मात नहीं है

गाँव में तारे गिन लेते थे
शहर में दिन है रात नहीं है

बीवी, बच्चे, अम्मी, अब्बू
मेरे बस की बात नहीं है

पतझड़ में भी साथ रहेगी
डाल है मेरी पात नहीं है

प्यास मेरी की रीस करेगा
साग़र की औक़ात नहीं है

Shayar se insaan hoon achha
kya ye koi बात नहीं है!!

Tuesday, May 31, 2011

जुर्रत हो गई है

यह जुर्रत हो गई है
मुहब्बत हो गई है

उसे भाई ने मारा
सियासत हो गई है

जालिमों बच के रहना
बग़ावत हो गई है

यहाँ मातम न हो ग़र
शहादत हो गई है

बुज़र्गों का करूं क्या?
वसीयत हो गई है

फटा बम और क्या हो!!
मज़म्मत हो गई है

Monday, May 9, 2011

तन्हाई के सजे धजे बाजारो में

तन्हाई के सजे धजे बाजारो में , तेरी याद को सोच समझ के खर्चा है
तभी तो तेरा छोड के मुझको जाने का, दीवानों में  इतना गहरा चर्चा है!!
 
मुमकिन है के जाने अनजाने तूने दिल को मेरे ठेस कभी पहुंचाई हो
(पर)क्या मेरी औकात कि मै कुछ गिला करूं, मेरे गुनाहों  का लंबा चौडा परचा है!!
 
मेरी वजह से तेरे जो आंसू छलके, जी में आता है की उनमे  डूब मरूं
लेकिन  खुश है सोच के मेरी खुदगर्जी, इसी बहाने  दुनिया में मेरा चर्चा है!!
 
दुनिया जब मश्गुल थी  दौलत बोने में, मैंने वक़्त गंवाया फ़र्ज़ निभाने में
हां!! पैसे की क़िल्ल्त रहती है लेकिन, यारों  का यारी में अव्वल दर्जा है!!
 
तेरे बिन जीने की मेरी तय्यारी, एक ज़रा सी बात ने मिट्टी कर डाली
गीली होंगी फिर से दिल की दीवारें, तेरी याद का बादल  फिरसे गरजा है!!

Wednesday, April 20, 2011

Nayi Nayi Baatein Karta Hai


(Jo) Suni nahi baatein karta hai
Nayi nayi baatein karta hai

Use siyasat mein jana hai
Napi tuli baatein karta hai

Dost kahoon ya dushman usko
Mili juli baatein karta hai

Uske dil ki main kya janoon
Dhaki puti baatein karta hai

Gaon ke lab gaon ka lehja
Bhali bhali baatein karta hai

Shehar se aaya hai wo shayad
Sadi gali baatein karta hai

Wo barsaat ki dhoop ke jaisi
Dhuli dhuli baatein karta hai

Yeh taleem ki taseerein hain
Khuli khuli baatein karta hai

Sab kehte hain shayar hai par
Mamooli baatein karta hai

Wednesday, April 13, 2011

Mujhe Qatl Karke Dekho!!


Hai kahin koi khuda kya??
Mujhe qatl karke dekho!!
Kya sawab hai gunah kya??
Mujhe qatl karke dekho!!

Mera dil nikaal dekho,
Meri jaan nikaal dekho,
Uthta hai kya dhuaan sa??
Mujhe qatl karke dekho!!

Kise kehte log jannat,
Darein kis se jan dozakh,
Kya khabar mile pata sa??
Mujhe qatl karke dekho!!

Do jahan ka jo hai maalik,
Goya jaan jaayein hum ; kyon,
Fire khud wo lamaqaan** sa ??
Mujhe qatl karke dekho!!

**Lamaqaan: Homeless

Tuesday, March 22, 2011

Kya Kehti ho!!


Ik dooje ke hum ho jaayein, Kya kehti ho!!
Tere hi hum "woh" ho jaayein, Kya kehti ho!!
ایک دوجے کے ہم ہو جاییں کیا کہتی ہو
تیرے ہی ہم  'وہ' ہو جاییں کیا کہتی ہو  

Saari duniya ki chugli tu humse karna
Hum tere humdum ho jaayein, Kya kahti ho!!
 ساری دنیا کی چگلی تم ہمسے کرنا
ہم تیرے ہمدم ہو جاییں ، کیا کہتی ہو

Tujhko laakar de dein apni saari khushiyaan
Tujhse saare ghum le jaayein, Kya kehti ho!!
تجھکو لاکر دے دیں اپنی ساری خوشیاں
تیرے سارے غم لے جاییں کیا کہتی ہو


Tu ho tera noor ho bas, meri mehfil mein
Aur shammein madham ho jayein, Kya kehti ho!!
تو ہو تیرا نور ہو بس، میری محفل میں
اور شممیں مدھم ہو جاییں ، کیا کہتی ہو


Umr se thakke jeevan jab le maut ki jhapki
Tere badle hum so jaayein , Kya kehti ho!!
امر سے تھک کر جیوں جب لے موت کی جھپکی
تیرے بدلے ہم سو جاییں، کیا کہتی ہو

Tuesday, February 8, 2011

Main Samjhata Hoon Par Sunti Nahi Hai


Main samjhata hoon par sunti nahi hai
Meri majboori bhi ziddi badi hain
میں سمجھاتا ہوں پر سنتی نہی ہے
میری مجبوری بھی زددی بدی ہے


Gunah hon maaf mere kaatilon ke
Mujhe bhi dekhiye kinki padi hai
غنہ ہوں معاف میرے قاتلوں کے
مجھے بھی دیکھئے کنی پدی ہے


Meri dono se doori hai barabar
Hai daulat bhi muhabbat bhi khadi hai
میری دونو سے دوری ہے برابر
ہے دولت بھی محبت بھی کھدی ہے

Wo jiski sunte hain kaatil nigaahein
 
Usiki aankh mujhse bhi ladi hai
وو جسکی سنتے ہیں قتل نگاہیں
میری اب آنکھ اسے ہی لدی ہے


Lahoo ka aakhri katra na chhode
Pakad ghurbat ki sach itni kadi hai
لہو کا آخری قطرہ نہ چھوڈے
پکد غربت کی سچ اتنی کدی ہے

Bilakhte bache maanje jhoote bartan
 
Abhi aani kayamat ki ghadi hai
بلاختے بچیں مانجیں جھوٹے برتن
ابھی آنی قیامت کی گھڈی ہے

Tuesday, February 1, 2011

Hain hum uski nazar mein

Main hoon uski nazar mein
Chashm-e-Bad door se hain
Farishta to nahi main
Magar wo hoor se hain
Khumaari kyon na hogi
Bhala lehze mein mere
Nasha kuchh Ishq ka hai
Kuchh hum magroor se hain
Use bhoola nahi main
Kahan meri khata hai
Wo kuchh masoom bhi hai
Kuchh hum majboor se hain
Hamare ishq ke bhi
Zamane mein the charche
Haseen kuchh kam nahi wo
Kuchh hum mashhoor se hain
Chamak chehre ki mere
Gaya wo saath leke
hain ab shammein ye madham
Kuchh hum benoor se hain
Suna hai zakhm mere
Yun hi riste raheinge
Hame kuchh lat hai inki
Kuchh hum masroof se hain

Wednesday, January 19, 2011

Khudparast


Maanaa ke tujhe mere siwa sabse pyaar hai
Par yaad rahe tujhpe meri jaan nisaar hai

Mujhse jise parhez hai wo tujhpe fida hai
Jo tera sataya hai mera ghamgusaar hai

Ulfat mein fanah jo bhi tha aaraam hai usko
Jo bach gaya suna hai bada beqaraar hai

Jeene ki ab kisiko koi chah hi nahi
Tujhpe mareinge sabpe yehi dhun sawaar hai

Is husn-e-bepanah pe gamza-e-bakamaal**
Mujhko lage khuda bhi tera tarafdaar hai

Kuchh is tarah raqeeb mujhe izzatein bakhshein
Tere sitam pe pehla mera ikhteyaar hai

Kaise bhala sambhleingi tujhe itni raqbatein
Sau hain tere beemar au(r) tu ik anaar hai

Sangat mein teri hum bhi khudparast*** ho gaye
Khud humne apna naam likha pehli baar hai

** Gamza-e-Bakamal : Nakhra/Ada
*** Khudparast : Self Admirer